Labels

Saturday, April 02, 2005

Na Milti ho, Na milne ka prayaas karti ho!

Na milti ho, na milnay ka prayaas karti hoe
Mein karta hun koshish, toe parihaas karti hoe
Tumhaari awaaz phone par sunta hun jab bhi
Meri hridhaya par sau sau prahaar karti hoe!

Koi naraazgi nahin, toe yeh adaa kya hai
Koi kehta kyun nahin, ki meri khata kya hai
Ke kuch lamhe bhi tere mujko naseeb na hon
Kaun si uljhan hai tumko, kaho maajra kya hai?

Waise milney ki toe koi aisi zarurat bhi nahin
Humare raaste roz ek mod se gujarte tak nahin
Tum kuch pal kabhi kabhi humkadam banti rahi ho
Hamari hamsafar banogi aisi dikhti surat bhi nahin!

Doston mein dooriyan koi mainay nahin rakhti
Milnay na milnay se yaariyan nahin ghat-tea
Shayad mera bharam hai, yeh bura mausam hai
Tum mil hi jaati kahin agar roz barish na girti!

Murakh na hua mein, barkha nay waise kab kissko roka hai
Tum bebas ho, na isliye milti ho, ya meri soch ka dhoka hai
Kyun inn khayalon mein hun khoya, kyun yun hun bekaraar
Dekh tere na milnay ne bhi mujhe nikamma kar chodaa hai!

Wajib hoga tera khayal, tujse milnay ki khwaish de dil se mitaa
Nayi khushiyon ki basaa len nagari, jeenay laggay ab tere siwaa
Kal pukaarogi bhi toe bhi na ab hum nazar aayenge (gaur kijiye)
Shaheed hota hai teri berukhi ka ghayal, dekh yeh jalti uski chitaa!

1 comment:

bilbo said...

I really enjoyed reading this one. Goes through quiet a few moods of waiting.
Since you have not left the comments open on the other blog site, Just wanted to say , "I miss dilli haat too."
I used to go there with a friend of mine , just for the momos. :)
nice to see another delhiite