Dil mein halki si, mithi si
Khalish si hai
Na jaane kyun!
Nainon mein boondein hai,
Lab pe muskaan si
Na jaane kyun!
Tum chupsi bhi kah gayi
Maano daastaane kayi
Na jaane kyun!
Saath thi, phir bhi shaayad
Akela hi tha
Na jaane kyun!
Kehte kehte ruk gaya tha uss din
Ruswaiyan kai
Na jaane kyun!
Nasha bhi akarta hai aur hosh bhi
Hai haal-e-dil aisa
Na jaane kyun!
Koi vaada na tha kiya aur phir bhi
Karta raha intezaar tera
Na jaane kyun!
Tum nahin meri par naam pe tumhare
Mujhe kissi ne pukaara lage
Na jaane kyun!
Likhta hai vivek jab bhi
Aah si uth ti hai
Na jaane kyun!
Mujhko bhool jaogi nahin
Poochta hun tumse yahi
Na jaane kyun!
Sajaa ke preet ke gulfaam bhi
Rehte hai kavi tanha hi
Na jaane kyun!
***********
aashu kavita (written just now, one go)
Midnight, 2 May, 2005!
yeh imtihaan ka hafta hai phir bhi
likhta rehta hun sher kai
na jaane kyun:)!
Vivek
English and Hindi poetry & prose, published as well as unpublished, experimental writing. Book reviews, essays, translations, my views about the world and world literature, religion, politics economics and India. Formerly titled "random thoughts of a chaotic being" (2004-2013). A short intro to my work: https://www.youtube.com/watch?v=CQRBanekNAo
Labels
Audio
(3)
Book review
(75)
Books Read
(19)
Cricket
(15)
Criticism
(12)
Dharma (Hinduism / Vedanta)
(7)
Fiction
(47)
Ghazals
(14)
Googlies
(13)
GraduateStudentKind
(7)
Himachal
(20)
Hindi
(82)
Humor
(49)
Indology
(113)
Kavita
(21)
Literature
(106)
Movie review
(11)
Personal
(49)
Poetry
(242)
Politics
(22)
Published
(70)
Romance
(87)
Satire
(48)
Science
(6)
Short Story
(32)
Translation
(36)
travelogue
(7)
Village Poems
(9)
Women
(23)
9 comments:
naa mujhey kavitha likhni aathi,
naa hi kavitha samajhmein aathi.
aap ki kavitha, hai eik bhaavna,
jeev ki jeene ki eik aur bahaana.
haan!
shayad hai kisi ki woh tamanna,
magar aaj phool, kal anaar daana.
( Not plagiarisd from anywhere.
Wrote just out of the reactionary feeling when I saw your poem )
array "urdubhashi" fizo ji:),
aap kripya woh anuvaad mein madadd kijiye!! (99.9FM)!
Hindi vs Urdu:
I took a course with Alok Rai, who was then writing a book on Hindi and ever since my definition of Hindi changed!! From genesis, Hindi is no different from Urdu:), (Google search for reviews about the book/author:)) but I agree I could have called it nazm instead of a kavita! I usually write in "tatsam hindi*", no one seems to understand or speak that these days!! (*Derived from Sanskrit)
lollz bluehue!:)
:) kavitha:
phoor murjha jaate hai, par anardaana
kharaab nahin hota
na jaane kyun;)!
hey Vivek,
ur nazm urf kavita....reminds me of the title song of this old TV serial called 'Kashish'....remember? can't quite place exactly what it was....but it used to evoke a similar feeling :)
Nainon mein boondein hai,
Labh pe muskaan si
Tum chupsi bhi kah gayi
Maano daastaane kayi
Saath thi, phir bhi shaayad
Akela hi tha
Kehte kehte ruk gaya tha uss din
Ruswaiyan kai....
very nice! :) cheers to whatever makes people write such beautiful words ;)
take care,
enig!
Wah Vivek wah! Na jaane kyon tum polymer science/chem-engg mein ho :)
Likho Vivek Likho...:-)))
should I translate that poem you posted as a comment for me?? vivs...i know only spoken hindi...and I am deffy not a poet,
but this is what i feel...
"kya kahen...
kuch aise likhe hain aapne,
ke dobaarah dil ko kuch chhoo sa gaya, ek halka sa dard
woh ek puraana lamha tanhaayi ka
aur yeh ek naya lamha khaamoshi ka
dono pade the bin dekhe bin samjhe
phir se koi shayar aaya
aur un yaadon ko chhed kar,
phir se rula diya...
Likhta hai vivek jab bhi
Aah si uth ti hai
Na jaane kyun!
Hai hai!!
Likho Vivek Likho!!!
Aur apne imtehaan ko bhool na mat....:-))))))))
Bon Chance my bard friend!!
Nahin doond rahe thein hum un ko!
Woh mere raaste ke mussafir thein!
Aur shayad hum unke raaste ke!
Chan pal, jabh miley toh lagaa, apne aap se mulaaqath hui hai!
Apne aap se mulaaqath karne ki yehsaas nayi theen!
Magar wah kya khoobsoorath!
Ithni khoobsoorath ke
Us khoobsoorati ko paane ki paagal pan mein,
zindagi kho baithi thi mainey!
Phir! Hum donon mussafir kho gaye thein!
Apne zindagi ki khoj mein!
Waada kiya bhi tha apne aap se,
Toh! Eik doosre ko nahin dhoonde ne ka,
Waada kiya bhi toh thaa apne aap se!
Ke Eik doosre ko nahin pehchaan ne ka!
Nahin doond rahe thein hum un ko!
Woh mere raaste ke mussafir thein!
Aur shayad hum unke raaste ke!
Shayad yeh meri aazamaish hai ke
Aaj Phir se,
Wohi mussafir mera raasta kaat gaya!
Miley bhi toh yun, ke kabhi bichde hi nahin thein!
Magar yeh kya?
Aaj phir waapis un galiyon se guzar ne ko man hi nahin kartha!
Phir se, un anjaan baaton par ghaur karne ka man hi nahin kartha!
Haan ! shayad yeh meri aazmaish hi hai!
Ke jiske wajhe se, hum ne khudaa ko dhoondne nikale,
Woh saamen aagaya!
Haan yeh aazamaish hai,
Jis se Khuda kah raha hai!
"Chunlo hamey ya hamari karamath ko!"
Jis khoobsoorath yehsaas ki wajhe se hum Khudaa ko dhoond liya
Kya koyi, us yehsaas ko chunega?
Yehsaas khoobsoorath hai?
Ya
Us Yehsaas ko banane waala Khuda?
Ya
Us yehsaas ko hamare dilon mein daalne waala Rabb!
Haan yeh aazmaish hi hai!
Haan hamara faisal bi atal hai!
Hum aaj chunegey us yehsaas ko dilon mein daalne waaleki karamath ko!
Kya patha, woh yehsaas, kisi aur ke kaam aajaye.
Kisi aur ki zindagimein, mere khuda ko dhoondne ki eik maqsad banjaye?
Haan! yeh hamara faisla hai!
Us yesaas ko hum yahin chode jaa rahe hain!
Us yehsaas bananewaale ki khoj mein¨
Bas eik yehsaas mein ithni khoobsoorathi
Toh shayad us ko banane wale ke paas
Aur kithni khoobsoorathi!
Bas ! Hamey na fikr hai, kisi ko khone ki!
Hamey na fikr hai kisi ko paane ki!
Nahin doond rahe thein hum un ko!
Woh mere raaste ke mussafir thein!
Aur shayad hum unke raaste ke!
Mera raaste mein ujaala hai!
Shayad Rabb mujhey apnaya hai!
Hum ne bhi Rabb ko chun liya hai!
Magar hamare raase ke Siraj( lantern or sun ) se mil liya hai!
Agar raasta bathane ki shukriya adaa kiya hai!
Toh shayad, Rabb-e-Karamat ki izaath hi kiya hai!
chayalife comments:
on May 3 2005 3:44AM delete this comment block this user
:-))
you are relentless!! And you will be without sleep at this rate....:-D
I am talking of your exams my friend...
Chay
vi comments:
on May 2 2005 12:40PM delete this comment block this user
Vivek,
Nice one!
Good Luck for the exams!
vi
Post a Comment